Akhter shared a quote with us .

‎”HUSSAIN” ne
“Zikr-e-Khuda” ko Aala bna diya,,,

Benaam thi “KRBALA” usy “MOUALLA” bna diya,,,

Socho k kitna pakiza hai
“Khon-e-HUSSAIN”

Jb gira “Khak”pr to “Khak-e-Shifa” bna diya.
ILTMAS E DUA.

Asgher shared a few quotes with us.

1)
Bay rida shehr ki galiyon say guzar Zainab kaa..
Pusht.e.Abid pay hi tehreeer Safar Zainab ka….

ye alag baat k mehfooz raha deen.e.rasool…
ye alag baat k loooota gia ghar Zainab kaa…

Laash.e.Akbar py Hussain ibn.e.Ali kehtay thaay..
kiss nain chilnni kiya Barchii say Jigar Zainab kaa…

Khoon.e.Shabbir ki har booond ka makrooz bashar…
Khoon.e.Shabbir hai makroooz magar Zainab kaa….

“Mohsin Naqvi”

ZEESHAN SHARED A QOUTE WITH US TODAY.

1)Ehsaan kyun RASOOL ke tum ne bhula diyey.
Hai Farsi mein jurm to hindi mein paap hai.
Maa FATIMA ki hai yeh KHDIJA se hai jalan.
IMRAN sey hai bughz ke HAIDER ka baap hai.

2)Hussain Teri
Taazeem Ja-Baja Hogi

Yazeed Teri Tazleel
Barmala Hogi

Har Ek K Dil Pe Lagi Hy
Gham-e-Hussain ki Mohar

Agar Shikast Ye Hi Hy
Tou Fatah Kia Hogi ??

3)
Parwardigar
Suna Hy k Tu Rehta Hy Sheh-Ragg k Qareeb

Jab Khanjar Gardana-e-HUSSAIN Pe Chala Tou Tujh Pe Kia Guzri ???

Allama Iqbal

4)Ye Keh Ker Farishto’n Se
JANNAT Mein Chala Jao’n Ga

HUSSAIN (r.a) k Qadmo’n k
Nishaan Dhoond Raha Hoon

5)Afzal hy kul jahan se ghrana HUSSAIN ka

Nabion ka tajdar hy Nana HUSSAIN ka

1 pal ki thi bas hakomat yazeed ki

Sadian HUSSAIN ki hain zmana HUSSAIN ka.

~ Allama Iqbal ~

10 TOP QUOTES OF HAZRAT ALI (A.S)

  • Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai. Or Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat hy.
  • Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU chor jata hai jo issay masal k phenk deta hy. 
  • Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hy
  • Yeh zindagi 2 din ki hai 1 din tumharay haq mai aur 1 din tumharay mukhaalif Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
  • Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.
  • Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.
  • Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.
  • Apnay dushman ko hazar mouqa do k woh tumara dost ban jaye. LEKIN apna dost ko 1 bhi moqa na do k woh tumara dushman ban jaiy.
  • Barish ka Qatra Seepi or Sanp dono kay Munah mein girta hai Jab keh Sanp ussay Zehar bana deta hai aur Seep Usay Moti. Jis ka jaisa “Zarf” waisi Uss ki “Takhleeq”
  • Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara Sakti Jab Tak Tum Khud Se Na Haar Jao.